Tuesday, March 15, 2011

Birthday shyari

Janmdin Mein

Phoolon ki sugandh se sugandhit ho jeevan tumhara
Taron ki chamak se sammilit ho jeevan tumhara
Umr aapki ho suraj jaisi
Yaad rakhe jise hamesha duniya
Janmdin mein aap mehfil sajayein aap aisi
Subh din ye aaye aapke jevan mein hazaar baar
Aur hum aapko ”Janmdin Mubarak” kehte rahein har baar..


Janam Din Mubarak Ho

Tohfa-e-dil de doon ya de doon chand tare
Janam din pe tujhe kya doon ye poche mujh se sare
Zindgi tere naam kar doon bhi to kam hahi
Daaman mein bhar doon har pal khushi ko main tumhari..


Kaise Karoon Shukriya

Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis duniye tumhe dharti pe bheja hamare liye
Naa jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umr ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis k liye


Agar Yaad Tumko

Agar yaad tumko na rahe apna janmdin
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin
Main kabhi na bhulonga apne yaar ka janmdin
Chahe woh ho mera akhri din
Aapko jaroor mera yeh msg. milega
Jispe likha hoga ” mubarak ho aapko aapka jamdin”







No comments:

Post a Comment