aYe Kahani hai Barbie aur uski do behno Rozy,Pinser ki.Is kahani mein Barbie jo ki aapne behno ki nazron mein aapni maa ki katil samji jati hai.Jabki woh beksur hoti hai
Hua yu ki
Ek din ki baat hai Barbie ki maa aur Barbie dono ghar mein akeli hoti hai Barbie
ki dono behne Rozy aur Pinser kahin bahar gayi hoti hai.Barbie aur uski
maa dono bahar kapde sukhane jati hai tabhi Barbie ki maa kehti hai woh
uske liye chai banakar lati hai woh kapdo ko yaha rehkar sukhaye.Itna keh
kar uski maa rasoi ghar mein chai banana kay liye jati hai tabhi ek dhamaka
hota hai Barbie bhag kar andhar jati hai aur dekhti hai ki uski maa aag
mein jhulas rahi hai aur woh usko bacahane ki koshish karti hai par kamyab nahi
ho pati aur uski maa aakhri saanse gin rahi hoti hai aur woh Barbie ko keh
jati hai Ki usay hi ab aapni behno ka khayal rakhna hai,usay ab maa ka farz
ada karna hai,taki unko maa ki kami kabhi bhi mahsoos na ho sake itna
kehkar Barbie ki maa wohi mar jati hai.barbie zor-zor say maa-maa pukarte hue
rone lagti hai tabhi Barbie ki behne bahar say aati hai aur ye manzar dekh kar woh
dono aapne aap ko samhbal nahi pati aur rone lagti hai, Barbie unhe sahara dene
lagti hai tabhi dono behne Barbie ko sahara lene ki bajaye use bura bhala kehti hai
ki aaj usi ki wajah say unki maa aaj unke saath nahi hai,dono behne chila chila kar
kehti hai chali jao yaha say chali jao humari nazroon say door.hum tumse nafrat
karti hai. Aur tabh say lekar aaj tak woh dono behne Barbie say nafrat karti aa
rahi hai.Barbie chahe jitna bhi uska bhala soche unko Barbie tabh bhi achhi nahi
lagti.
Ek bar Barbie ki behan pinser picnic par chali jati hai aur Rozy Barbie kay pass
rehti hai.ek din rozy bimar ho jati hai aur Barbie rozy ki Din-ratt sewa karti
hai.barbie har pal,har samay uske saath rehti hai,uski dawai karti hai,uske liye
khana banati hai,uski liye raat-raat jagti hai aur bhagwan say din raat prathna karti
hai ki rozy ko woh theek karde chahe to usko uski bimari dede.Kayi din baad rozy
ek dam theek ho jati hai,aur tabhi pinser bhi picnic say wapis aa jati hai aur sabse
pehle rozy say milti hai aur rozy pinser ko saari batt batati hai rozy pinser say
kehti hain Didi hum dono bahut galt thee Barbie didi kay barein mein, jab mein
bimar padi unhone to meri itni sewa ki thee din ratt wo meri liye jagti
rehti,bhagwan say prathna karti,meri patiya karti,aise pyari aur sneh dil
wali behan humari maa ki katil kaise ho sakti hai.humari aankhon ko dhokha hua
tha jo hum unko galt samaj bethi humne unko galt samja woh to
humare liye didi maa samaan hai hume unse mafi mangni chahye
Tabhi dono behne ro padti hai,aur aapni Barbie didi kay pass jati hai aur
Unse mafi mangte hui kehti hai Didi hume maff kardo humne aapko galt samja
Bhagwan chahe na chahe hume maff kare,par aap hume maff kardo dono rone
Lagti hai,Barbie unse kehti hai,pagliyo maa ne mujhe jate waqt kaha tha ki mein
Kabhi tumhare aankhon mein aanso na aane do aur tum ho kay ro rahi hoon kya
Tum dono chahti hoo kay maa dhukhi ho itne me dono behne kehti hai nahi didi
Hum aisa nahi chahti hai aap hume maff kardo hum yahi chahti hai.barbie kehti
Hai meine tum dono ko maff kiya aayo mere gale lag jao.Teeno behno ki aankhon
Mein khushi kay aanson tapak padte hai aur teeno hass padti hai.
Ab teeno behne khushi khushi rehne lagi.