Sunday, February 27, 2011

KIFE SHAYR

KISMAT KI ANDHI AISE CHALI

Kismat ki aandhi aisi chali
har ak begana ho gaya
shikwa kisi se kya karen
jab apna hi chehra anjana ho gaya

ZINDGI HUSN HAI

Zindagi husn hai, har husn ki tanveer alag
Zindagi jurm hai, har jurm ki tazeer alag
Zindagi naghma hai, har naghme ki taseer alag
Zindagi phool hai, her phool ki taqdeer alag

 TUMSE MULAKAT

Tumse mulaquat hogi hume pata na tha
tumse pyar hoga hume ikrar na tha
shayad khuda ne hi banayi hai hamari ye jodi
varna zindagi me main itna khus nasib kab tha

NAJANE KAB SE

Raah dekhi thi is din ki kabse
Aage ke sapne saja rakhe the najane kab se
Bade utavle the yahan se jane ko
Zindagi ka agla padav pane ko


No comments:

Post a Comment