Sunday, February 27, 2011

JINDAGI SHYARI

ASIYANA THA

Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha
Tute They Pankh Aur Udte Huye Jana Tha
Tufaan To Jhel Gaya Per Hua Afsos
Wo Hi Dali Tuti Jis Pe Us Ka Aashiyana Tha

 HAMSAGAR NI

Dil Ki Dhadkano Ko ek lamha sabar nahi
Shayad ke us ko ab meri kadar nahi
Har safar mein mera kabhi hamsafar tha woh
Ab safar to hai magar wo hamsafar nahi

CHAL DIYE

Sunsan rasto me hum chal diye
Yaado ka saman liye hum chal diye
Dil me chupaye ishq liye hum chal diye
Ankho me sisakti yaado ke gum dabaye hum chal diye
In tapakte aansu se apne
dil ki pyas bujhaye hum chal diye
Ghabraye hum, akele hue hum
apne nishano ko mita kar hum chal diye
Chal diye hum apni jindagi ko chhod
maut ko gale lagane hum chal diye

 KHUBSURAT HAII

Tum na mano ye haqikat hai
Dosti insan ki zarurat hai
Kisi din aao hamari mehfil me
Jaan jaoge zindagi kitni khubsurat hai

HAR PEHER ME DALNA AA GAYA

Ab toh toote hue dil ko bhi muskurana aa gaya
Ab toh num palko ko bhi itrana aa gaya
Ab toh andhere mein bhi humko chalna aa gaya
Aur zindagi ke har peher mein dhalna aa gaya

MERA DIL

Mere dil ke kissi kone meh ik masoom sa bacchha
Badon ki dekhkar duniya, bada hone se darta hai !

MOHABAT NIMILI

Hum Yeh Nahi Kehte Ke, Hume Mohabbat Nahi Mili
Jise Chahte The, Voh Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Zindagi Mein Kayi Humsafar Mile
Par Unki Tabiat Se Tabiat Nahi Mili
Chehron Mein Dusro Ke, Use Dhoondte Rahe
Kahi Na Surat Mili, Na Sirat Mili

 ANDHERI RAT

Apna Apna Aanchal Tha Jisko Jo Saugaat Mili
Sej Phoolon Ki Unko Hume Kaanto Ki Saugaat Mili
Kya Shikva Koi Unse Kare, Apni Apni Kismat Hai
Unki Raatein Chandani, Humko Andheri Raat Mili


No comments:

Post a Comment