Sunday, February 27, 2011

ZINDAGI SHYARI

GAMO KA MELA

Ye zindgi gamo ka melaa hai
kahin gam to kahin khushi ki belaa hai
manzil milti nahi aasani se yahan
usse puchho jisne ye sab kuch jhelaa hai

JINDGI KYA RANG DIKHATI HAI


 jindagi kya kya rang dikhati hai
kabhi hasati hai to kabhi rulati hai
is jindagi ka bharosa mat karna yaaro
jo kuchh deti hai wo chhin bhi leti hai

JOMIL NA SKE

 Khuda ki khudai itni beraham kyon hoti hai
Har kisi ko zindgi se shikayat kyon hoti hai
Mile khuda to us se pooch lena jaroor
Jo mil na sake mohobbat usi se kyon hoti hai

HAR PAL KI CHANUTI

Khushi ho ya gum sab hai jahan ke dastoor
Na chaaho fir bhi aap ho sakte ho majboor
Zindagi ke maidaan mein hum sab hai majboor
Aur har pal ki chunauti karlo tum manjoor


LAMHA LAMHA


lamha lamha waqat guzar jayega
Rooh ka daman bhi sath chhod jayega
Pal do pal hai sath guzar lo
Kab jane kon kiska sath chhod jayega





No comments:

Post a Comment